Friday, March 28, 2014

kavita - upeksha

मेरे होने का सबूत है यह
इधर -उधर ताक रहा वह
नहीं मिला रहा आखे मुझसे
दिल - दिमाग में , मै बैठा उसके। 

Saturday, March 15, 2014

kavita - asali chehara

ये जो आदमी
नशा मुक्ति की
शिक्षा दे रहा है
मुह में उसके
तम्बाकू भरा है। 

Sunday, November 10, 2013

shri Vijay detha hindi me likhate to....

                shri Vijay dan detha rajasthan ki ek boli ke folk story writer the . unhone aneka books likhi . lekin unke lekhan se rajasthan ke log to kya sahityakar bhi parichit nahi hai . kyuki rajasthan me Rajasthani bhasha means marvadi ko 4 district ke log hi jante hai . rajasthan me 64 boliya hai jo ekrupata nahin rakhati . kya Bruj, vagadi , hadoti  ko ek group me rakha sakte hai .
         detha ji ki kuch kahaniya maine padhi hai . do films bhi maine dekhi hai . achchhi likhate hai . parntu ve hindi me likhate to pathako ka bada group milata log pahachante . padhte , samjhate ....kher... rajasthani ke anek sahityakaro ne achchha likha hai par kuch Rajasthani bhasha akadami ke prakashan , samman ,puruskar tak simit rahe . jin kuch ne hindi me likha unko desh janta hai .
      rajasthani bhasha ko sanvidhan ki 8vi anusuhi me shamil karvane ke liye akabari agititation chala rahe hai .kuch jagaha safal bhi rahe jaise RPSC me ,school ,college me subject ban gaya par Marvadi hi hai yaha . Rajasthani bhasha ke publicition ko dekho JAGATI JOT , MANAK ki bhasha Marvadi hi hai . vaise Rajasthani bhasha ke student 100 se jyada nahi honge .
     to dethaji ko padhnne vale kam hi hai . samjhane vale to hai hi nahi . vaise bhi apbhrans ko kaun samajh sakta hai isiliye Shri Dethaji ko bahut achchha likhane ke bavajud bhi pathak kam hai . isiliye ve hindi me likhate to desh me pahachane jate .

Wednesday, November 6, 2013

Wednesday, October 30, 2013

Rajendar yadav: badal diya sahitya ko

Hindi sahitya me aajadi ke 40 years ke bad bhi varn vyavastha ke upri 3 ka kabja tha. Jo vani hi gate -bajate the . Hindi ke bade shabda faikate Jo kisi ki samjha ko nahi the .kud ki pith thathapte or aapas me hi prizes batate akadamiyo ka bajat  khate . Books chapavate or library me dete .
    Rajendra yadav ne apne bal par sabko naraj karke bhi nimna medal class par likhana shuru kiya .or dalit, aadivasi, nari ko Hans me jagah di or hindi lekhan ko savarn mansikata se free kiya .
   Unka svayam ka bhi lekhan pichhdo par raha . Naye vichar Dena uspar chalna unke lekha me tha . Ve thinker, kathakar, activist, visioner the . Unke dabang hone, apni bat kahane ke hak ke samarthak hone se ve government me jagah nahi bana sake or koi national award nahi mila par unko gila bhi nahi raha . Naman